nahif tinka bhala tez dhaar kya jaane
nahīf tinkā bhalā tez dhaar kyā jaane
na kar sakegā vo dariyā ko paar kyā jaane
hayāt kī ye nihāyat tavīl rāhguzār
musāfiroñ kī thakan kā shumār kyā jaane
masarratoñ meñ chhupā husn-e-dil ko kyā ma.alūm
ye regzār jamāl-e-bahār kyā jaane
vo ham se umr bitāne kī baat kartā hai
hameñ to saañs bhī lenā hai baar kyā jaane
nashe meñ hai jo masarrat kā jaam pī ke 'obaid'
vo hādsāt kī mai kā ḳhumār kyā jaane
nahif tinka bhala tez dhaar kya jaane
na kar sakega wo dariya ko par kya jaane
hayat ki ye nihayat tawil rahguzar
musafiron ki thakan ka shumar kya jaane
masarraton mein chhupa husn-e-dil ko kya malum
ye regzar jamal-e-bahaar kya jaane
wo hum se umr bitane ki baat karta hai
hamein to sans bhi lena hai bar kya jaane
nashe mein hai jo masarrat ka jam pi ke 'obaid'
wo hadsat ki mai ka KHumar kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.