nahin aasan ai beTa koi insan kaamil ho
nahīñ āsān ai beTā koī insān kāmil ho
paḌhā likkhā bahut kuchh phir bhī tum jāhil ke jāhil ho
koī aisā bhī jorū kī taraf se nauj ġhāfil ho
ye kaise tum paḌhe likkhe ho beTā kaise aaqil ho
buā miTTī hai ghar meñ sone chāñdī kī agar sil ho
mazā to zindagī kā jab hai kuchh daulat ho kuchh dil ho
bhalā chāval bhī aisī koī ne.amat thī na detī maiñ
mirī bhittī meñ kaam aa.e buā ghar meñ jo ik til ho
vahī hai dushman ai baajī jo achchhe vaqt meñ lipTe
vahī hai dost ai baajī musībat meñ jo shāmil ho
nikal to aa.ī ho bāhar mahal se chhup chhupā kar tum
kisī kī aañkh paḌ jaa.e to begam kaisī mushkil ho
nivāle ke liye kuttā bhī ghar ghar ghuum phir aaya
paḌe ho haDDiyāñ Daale ajī tum kaise kāhil ho
mire hisse meñ kaise saut kī taqdīr aa jaa.e
tumhāre kaam kī vo hai miyāñ tum us ke qābil ho
isī kā naam duniyā hai koī ujḌe base koī
kahīñ mahloñ meñ mātam ho kahīñ ghūre pe mahfil ho
falak par kis tarah sīḌhī lagā kar koī chaḌh jaa.e
jahāñ dekho farishte kī tarah tum sar pe nāzil ho
na Daale bojh beTī kā ḳhudā duniyā meñ dushman par
pahāḌ ik sar pe rakkhā ho buā chhātī pe ik sil ho
kiye kī laaj mujh ko hai kiye kī sharm tum ko hai
isī kī maiñ bhī qaa.il huuñ isī ke tum bhī qaa.il ho
ubhāreñ aurteñ tum ko dabā.eñ aurteñ tum ko
garebānoñ meñ muñh Daalo muo tum ab to qaa.il ho
buḌhautī meñ javānī kī kahānī se phaT paḌeñ nīñdeñ
kaḌī hai dhuup sar par aañkh kholo kaise ġhāfil ho
kahānī tum ne gehūñ kī jo dastarḳhvān par chheḌī
sabhoñ ko ho gayā dhokā ki tum bhī koī kāmil ho
tumhārī reḳhtī meñ sahl ho jaatā hai sab aakar
koī mazmūn ai 'shaidā' jo mushkil se bhī mushkil ho
nahin aasan ai beTa koi insan kaamil ho
paDha likkha bahut kuchh phir bhi tum jahil ke jahil ho
koi aisa bhi joru ki taraf se nauj ghafil ho
ye kaise tum paDhe likkhe ho beTa kaise aaqil ho
bua miTTi hai ghar mein sone chandi ki agar sil ho
maza to zindagi ka jab hai kuchh daulat ho kuchh dil ho
bhala chawal bhi aisi koi neamat thi na deti main
meri bhitti mein kaam aae bua ghar mein jo ek til ho
wahi hai dushman ai baji jo achchhe waqt mein lipTe
wahi hai dost ai baji musibat mein jo shamil ho
nikal to aai ho bahar mahal se chhup chhupa kar tum
kisi ki aankh paD jae to begam kaisi mushkil ho
niwale ke liye kutta bhi ghar ghar ghum phir aaya
paDe ho haDDiyan Dale aji tum kaise kahil ho
mere hisse mein kaise saut ki taqdir aa jae
tumhaare kaam ki wo hai miyan tum us ke qabil ho
isi ka nam duniya hai koi ujDe base koi
kahin mahlon mein matam ho kahin ghure pe mahfil ho
falak par kis tarah siDhi laga kar koi chaDh jae
jahan dekho farishte ki tarah tum sar pe nazil ho
na Dale bojh beTi ka KHuda duniya mein dushman par
pahaD ek sar pe rakkha ho bua chhati pe ek sil ho
kiye ki laj mujh ko hai kiye ki sharm tum ko hai
isi ki main bhi qail hun isi ke tum bhi qail ho
ubhaaren aurten tum ko dabaen aurten tum ko
garebanon mein munh Dalo muo tum ab to qail ho
buDhauti mein jawani ki kahani se phaT paDen ninden
kaDi hai dhup sar par aankh kholo kaise ghafil ho
kahani tum ne gehun ki jo dastarKHwan par chheDi
sabhon ko ho gaya dhoka ki tum bhi koi kaamil ho
tumhaari reKHti mein sahl ho jata hai sab aakar
koi mazmun ai 'shaida' jo mushkil se bhi mushkil ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.