nahin badle dar-o-diwar-e-zindan aao diwano
nahin badle dar-o-diwar-e-zindan aao diwano
Krishn Gopal Maghmum
MORE BYKrishn Gopal Maghmum
nahīñ badle dar-o-dīvār-e-zindāñ aao dīvāno
jo pahle the vahī haiñ sāz-o-sāmāñ aao dīvāno
tum aise sar-phiroñ kī justujū hai tauq-e-āhan ko
bulātī hai tumheñ zanjīr-e-zindāñ aao dīvāno
koī lazzat-shanās-e-ābla-pā.ī nahīñ miltā
tarastā hai har ik ḳhār-e-bayābāñ aao dīvāno
har ik dāġh-e-jigar lau de uThe tārīkī-e-shab meñ
kareñ is rang se jashn-e-charāġhāñ aao dīvāno
diloñ meñ sho'la-e-soz-e-yaqīñ hai ‘azm-e-mohkam bhī
kareñ tārīk zarroñ ko daraḳhshāñ aao dīvāno
ye maanā mushkilāt-e-nau-ba-nau ik ik qadam par haiñ
kareñ mil-jul ke har mushkil ko āsāñ aao dīvāno
chalo chal kar suneñ 'maġhmūm' se taaza ġhazal us kī
vo apnī tarz kā hai ik suḳhan-dāñ aao dīvāno
nahin badle dar-o-diwar-e-zindan aao diwano
jo pahle the wahi hain saz-o-saman aao diwano
tum aise sar-phiron ki justuju hai tauq-e-ahan ko
bulati hai tumhein zanjir-e-zindan aao diwano
koi lazzat-shanas-e-abla-pai nahin milta
tarasta hai har ek KHar-e-bayaban aao diwano
har ek dagh-e-jigar lau de uThe tariki-e-shab mein
karen is rang se jashn-e-charaghan aao diwano
dilon mein sho'la-e-soz-e-yaqin hai ‘azm-e-mohkam bhi
karen tarik zarron ko daraKHshan aao diwano
ye mana mushkilat-e-nau-ba-nau ek ek qadam par hain
karen mil-jul ke har mushkil ko aasan aao diwano
chalo chal kar sunen 'maghmum' se taza ghazal us ki
wo apni tarz ka hai ek suKHan-dan aao diwano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.