nahin chaha tha ye kya ho gaya hai
nahīñ chāhā thā ye kyā ho gayā hai
use mujh par bharosa ho gayā hai
ye ik duuje kā dukh bhī bāñTte na.iiñ
mere logoñ ko ye kyā ho gayā hai
bujhā do taaq meñ jalte diyoñ ko
idhar dekho ujālā ho gayā hai
mayassar hai sabhī ko terī qurbat
to kyā tū itnā sastā ho gayā hai
burā kahtī thī jis ko saarī duniyā
kahā tum ne to achchhā ho gayā hai
uThī jo aañkh manzil sāmne thī
dharā paaoñ to rasta ho gayā hai
falak ko chhū ke lauT aa.iiñ duā.eñ
ye mere saath dhokā ho gayā hai
udhar niklā vo mashkīza uThā kar
idhar har shaḳhs pyāsā ho gayā hai
tire bin bhī guzārā zindagī ko
sitam ye hai guzārā ho gayā hai
mujhe us kī ḳhabar kaise ho 'ārib'
mile jo ek arsa ho gayā hai
nahin chaha tha ye kya ho gaya hai
use mujh par bharosa ho gaya hai
ye ek duje ka dukh bhi banTte nain
mere logon ko ye kya ho gaya hai
bujha do taq mein jalte diyon ko
idhar dekho ujala ho gaya hai
mayassar hai sabhi ko teri qurbat
to kya tu itna sasta ho gaya hai
bura kahti thi jis ko sari duniya
kaha tum ne to achchha ho gaya hai
uThi jo aankh manzil samne thi
dhara paon to rasta ho gaya hai
falak ko chhu ke lauT aain duaen
ye mere sath dhoka ho gaya hai
udhar nikla wo mashkiza uTha kar
idhar har shaKHs pyasa ho gaya hai
tere bin bhi guzara zindagi ko
sitam ye hai guzara ho gaya hai
mujhe us ki KHabar kaise ho 'arib'
mile jo ek arsa ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.