nahin chalti koi talwar pani par
nahīñ chaltī koī talvār paanī par
ki ḳhālī jaatā hai har vaar paanī par
tujhe milne kī ḳhātir shauq se ai jaañ
maiñ chal kar aatā thā har baar paanī par
hamārī ranjishoñ ne dil ke āñgan meñ
banā rakkhī hai ik dīvār paanī par
mujhe vo jhiil par milne ko aayā phir
mujhe hone lagā dīdār paanī par
gale milne lagīñ parchhā.iyāñ donoñ
milan hone lagā sākār paanī par
kabhī chalte kabhī ham Duub jaate haiñ
kiye haiñ tajribe ai yaar paanī par
yahāñ har saal jab barsāt aatī hai
to banvātī hai ye ghar-bār paanī par
mujhe kal shaam ik manzar dikhā jis meñ
sabhī meñ ho rahī thī maar paanī par
ġhazab hai log paanī bech dete haiñ
chalā rakkhe haiñ kārobār paanī par
nahin chalti koi talwar pani par
ki KHali jata hai har war pani par
tujhe milne ki KHatir shauq se ai jaan
main chal kar aata tha har bar pani par
hamari ranjishon ne dil ke aangan mein
bana rakkhi hai ek diwar pani par
mujhe wo jhil par milne ko aaya phir
mujhe hone laga didar pani par
gale milne lagin parchhaiyan donon
milan hone laga sakar pani par
kabhi chalte kabhi hum Dub jate hain
kiye hain tajribe ai yar pani par
yahan har sal jab barsat aati hai
to banwati hai ye ghar-bar pani par
mujhe kal sham ek manzar dikha jis mein
sabhi mein ho rahi thi mar pani par
ghazab hai log pani bech dete hain
chala rakkhe hain karobar pani par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.