nahin dete kabhi duniya ko dil ahl-e-nazar apna
nahin dete kabhi duniya ko dil ahl-e-nazar apna
Chandar Bhan Kaifi Dehelvi
MORE BYChandar Bhan Kaifi Dehelvi
nahīñ dete kabhī duniyā ko dil ahl-e-nazar apnā
kabhī murġhāb tar kartā nahīñ paanī se par apnā
fanā kī rau meñ buniyādeñ na Thahrīñ qasr-e-hastī kī
huā is mauj-e-tūfāñ-ḳhez se barbād ghar apnā
jahāñ meñ ruuh ko tan se dikhāve kī mohabbat thī
na thā vo ham-safar samjhe the jis ko ham-safar ham apnā
batā duuñ kyā tujhe zāhid jo dekhā hai vo dekhā hai
tirī āñkhoñ meñ kyūñkar Daal duuñ zauq-e-nazar apnā
usī bansī ke naġhmoñ kī abhī mushtāq hai jamunā
ki maujeñ aaj tak sāhil se Takrātī haiñ sar apnā
ḳhayāl-e-yār ne marqad pe kar dī nuur kī bārish
muqaddar kā sitārā ban gayā dāġh-e-jigar apnā
mire jām-e-subūhī meñ asar 'kaifī' dikhātā hai
kabhī rang-e-shafaq apnā kabhī nūr-e-sahar apnā
nahin dete kabhi duniya ko dil ahl-e-nazar apna
kabhi murghab tar karta nahin pani se par apna
fana ki rau mein buniyaaden na Thahrin qasr-e-hasti ki
hua is mauj-e-tufan-KHez se barbaad ghar apna
jahan mein ruh ko tan se dikhawe ki mohabbat thi
na tha wo ham-safar samjhe the jis ko ham-safar hum apna
bata dun kya tujhe zahid jo dekha hai wo dekha hai
teri aankhon mein kyunkar Dal dun zauq-e-nazar apna
usi bansi ke naghmon ki abhi mushtaq hai jamuna
ki maujen aaj tak sahil se Takraati hain sar apna
KHayal-e-yar ne marqad pe kar di nur ki barish
muqaddar ka sitara ban gaya dagh-e-jigar apna
mere jam-e-subuhi mein asar 'kaifi' dikhata hai
kabhi rang-e-shafaq apna kabhi nur-e-sahar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.