Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin hai aashiyan lekin hai KHak-e-ashiyan baqi

Sajid Siddiqi lakhnavi

nahin hai aashiyan lekin hai KHak-e-ashiyan baqi

Sajid Siddiqi lakhnavi

MORE BYSajid Siddiqi lakhnavi

    nahīñ hai āshiyāñ lekin hai ḳhāk-e-āshiyāñ baaqī

    zamāne meñ mohabbat abhī tak hai nishāñ baaqī

    baḌī hasrat se merā tazkira karte haiñ vo aksar

    hai mere ba.ad bhī sad-shukr merī dāstāñ baaqī

    zamāna aisā kuchh badlā hai ham tīra-nasīboñ

    na jaada hai na manzil aur na manzil nishāñ baaqī

    chaman vāloñ ehsās-e-ġhulāmī jaag uTThā hai

    nahīñ rah saktī ab to ye jafā-e-bāġhbāñ baaqī

    nuqūsh-e-sajda ko mere hiqārat se na dekho tum

    inhīñ sajdoñ tābish se hai husn-e-dāstāñ baaqī

    sulūk aisā kiyā ai bāġhbāñ terī nigāhoñ ne

    gulistāñ meñ nahīñ hai ab bahār-e-gulsitāñ baaqī

    muḳhālif bāġhbāñ ho falak bezār ho ham se

    rahegā hashr tak apnā chaman meñ āshiyāñ baaqī

    gayā vo vaqt jab milte the aapas meñ mohabbat se

    diloñ meñ ab se ai 'sājid' ḳhulūs-e-dil kahāñ baaqī

    nahin hai aashiyan lekin hai KHak-e-ashiyan baqi

    zamane mein mohabbat ka abhi tak hai nishan baqi

    baDi hasrat se mera tazkira karte hain wo aksar

    hai mere baad bhi sad-shukr meri dastan baqi

    zamana aisa kuchh badla hai hum tira-nasibon ka

    na jada hai na manzil aur na manzil ka nishan baqi

    chaman walon ka ehsas-e-ghulami jag uTTha hai

    nahin rah sakti ab to ye jafa-e-baghban baqi

    nuqush-e-sajda ko mere hiqarat se na dekho tum

    inhin sajdon ki tabish se hai husn-e-dastan baqi

    suluk aisa kiya ai baghban teri nigahon ne

    gulistan mein nahin hai ab bahaar-e-gulsitan baqi

    muKHalif baghban ho ya falak bezar ho hum se

    rahega hashr tak apna chaman mein aashiyan baqi

    gaya wo waqt jab milte the aapas mein mohabbat se

    dilon mein ab se ai 'sajid' KHulus-e-dil kahan baqi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now