nahin hai chaak gareban ab bhi baqi hai
nahīñ hai chaak garebān ab bhī baaqī hai
ki honā 'ishq meñ nuqsān ab bhī baaqī hai
ki jā chukī hai jahannum banā ke duniyā mirī
pa mere dil meñ vo shaitān ab bhī baaqī hai
nahīñ ham itnī sī shohrat pe mutma.in sāhib
ki misr-o-shām-o-ḳhurāsān ab bhī baaqī hai
kivāḌ abhī na karo band sham' gul na karo
ki us ke aane kā imkān ab bhī baaqī hai
ye koh-e-'ishq magar sar na kar sakūñgā ab
agarche mujh meñ bahut jaan ab bhī baaqī hai
zamāna ho gayā tujh ko mire 'doraib' magar
tirī zamāne meñ pahchān ab bhī baaqī hai
nahin hai chaak gareban ab bhi baqi hai
ki hona 'ishq mein nuqsan ab bhi baqi hai
ki ja chuki hai jahannum bana ke duniya meri
pa mere dil mein wo shaitan ab bhi baqi hai
nahin hum itni si shohrat pe mutmain sahib
ki misr-o-sham-o-KHurasan ab bhi baqi hai
kiwaD abhi na karo band sham' gul na karo
ki us ke aane ka imkan ab bhi baqi hai
ye koh-e-'ishq magar sar na kar sakunga ab
agarche mujh mein bahut jaan ab bhi baqi hai
zamana ho gaya tujh ko mere 'doraib' magar
teri zamane mein pahchan ab bhi baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.