nahin hai fikr tujhe fikr-e-ma-siwa ke siwa
nahīñ hai fikr tujhe fikr-e-mā-sivā ke sivā
hazār but haiñ tire dil meñ ik ḳhudā ke sivā
nahīñ jo zabt kī taufīq de ḳhudā ke sivā
ki laakh ġham bhī haiñ umr-e-gurez-pā ke sivā
tamām maslihateñ vaqf haiñ ḳhirad ke liye
nahīñ hai sheva-e-ahl-e-junūñ vafā ke sivā
ilāj-e-dil ke liye aur ab kahāñ jaa.eñ
tumhāre shahr meñ sab kuchh milā davā ke sivā
vo muddatoñ meñ mile bhī to uf re mahrūmī
sabhī kuchh un se kahā harf-e-mudda.ā ke sivā
mirā shi.ār hai ai dost ġham-farāmoshī
mujhe to yaad nahīñ kuchh tirī atā ke sivā
the merī raah meñ lākhoñ butān-e-naḳhvat-o-nāz
kahīñ bhī sar na jhukā tere naqsh-e-pā ke sivā
bahut se ġham to diye 'zabt' aise logoñ ne
ki jin se koī tavaqqo na thī vafā ke sivā
nahin hai fikr tujhe fikr-e-ma-siwa ke siwa
hazar but hain tere dil mein ek KHuda ke siwa
nahin jo zabt ki taufiq de KHuda ke siwa
ki lakh gham bhi hain umr-e-gurez-pa ke siwa
tamam maslihaten waqf hain KHirad ke liye
nahin hai shewa-e-ahl-e-junun wafa ke siwa
ilaj-e-dil ke liye aur ab kahan jaen
tumhaare shahr mein sab kuchh mila dawa ke siwa
wo muddaton mein mile bhi to uf re mahrumi
sabhi kuchh un se kaha harf-e-muddaa ke siwa
mera shiar hai ai dost gham-faramoshi
mujhe to yaad nahin kuchh teri ata ke siwa
the meri rah mein lakhon butan-e-naKHwat-o-naz
kahin bhi sar na jhuka tere naqsh-e-pa ke siwa
bahut se gham to diye 'zabt' aise logon ne
ki jin se koi tawaqqo na thi wafa ke siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.