nahin hai jab koi manzil to rah-e-am pe chal
nahīñ hai jab koī manzil to rāh-e-ām pe chal
jahāñ pe maut hai terī usī maqām pe chal
ye iltimās-e-naqāhat hai ghar meñ kar ārām
zarūratoñ kā taqāza hai pahle kaam pe chal
ubal paḌeñge mai-e-nāb ke ka.ī chashme
barahna-pā tū kisī din shikasta-jām pe chal
purāne vaqt kī qadroñ ko bhuul jā 'rāshid'
jadīd daur ke badle hue nizām pe chal
nahin hai jab koi manzil to rah-e-am pe chal
jahan pe maut hai teri usi maqam pe chal
ye iltimas-e-naqahat hai ghar mein kar aaram
zaruraton ka taqaza hai pahle kaam pe chal
ubal paDenge mai-e-nab ke kai chashme
barahna-pa tu kisi din shikasta-jam pe chal
purane waqt ki qadron ko bhul ja 'rashid'
jadid daur ke badle hue nizam pe chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.