nahin hai roTi mayassar agar hawa to hai
nahīñ hai roTī mayassar agar havā to hai
ḳhudā kā shukr ki khāne ko kuchh bachā to hai
na bādbān na kashtī kā nāḳhudā koī
maiñ mutma.in huuñ muhāfiz mirā ḳhudā to hai
ye aur baat na irsāl kar sakūñ tum ko
tumhāre naam magar ek ḳhat likhā to hai
usī ke naam kī taḳhtī lagā.ī hai dil par
muqīm is meñ vo āḳhir kabhī rahā to hai
khilā jo phuul to ḳhushbū nikal ga.ī saarī
bhare chaman meñ koī hādisa huā to hai
ḳhudā kare ki ye ab un ke shahr se guzre
havā ke dosh pe maktūb ik rakhā to hai
vo mere naam pe 'sādiq-jamīl' yuuñ bole
bhalā sā naam ye maiñ ne kahīñ sunā to hai
nahin hai roTi mayassar agar hawa to hai
KHuda ka shukr ki khane ko kuchh bacha to hai
na baadban na kashti ka naKHuda koi
main mutmain hun muhafiz mera KHuda to hai
ye aur baat na irsal kar sakun tum ko
tumhaare nam magar ek KHat likha to hai
usi ke nam ki taKHti lagai hai dil par
muqim is mein wo aaKHir kabhi raha to hai
khila jo phul to KHushbu nikal gai sari
bhare chaman mein koi hadisa hua to hai
KHuda kare ki ye ab un ke shahr se guzre
hawa ke dosh pe maktub ek rakha to hai
wo mere nam pe 'sadiq-jamil' yun bole
bhala sa nam ye main ne kahin suna to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.