nahin hai ye tera kucha nahin hai
nahīñ hai ye tirā kūcha nahīñ hai
yahāñ koī sadā detā nahīñ hai
tujhe chhū kar use pahchān leñge
agar ham ne ḳhudā dekhā nahīñ hai
zarā socho to us kī pyaas logo
vo bādal jo kahīñ barsā nahīñ hai
na.e chehre liye phir aao yaaro
ye dil puurī tarah TuuTā nahīñ hai
ġhanīmat jaan tū do pal bhī 'rāhī'
vafā kā rāsta lambā nahīñ hai
nahin hai ye tera kucha nahin hai
yahan koi sada deta nahin hai
tujhe chhu kar use pahchan lenge
agar hum ne KHuda dekha nahin hai
zara socho to us ki pyas logo
wo baadal jo kahin barsa nahin hai
nae chehre liye phir aao yaro
ye dil puri tarah TuTa nahin hai
ghanimat jaan tu do pal bhi 'rahi'
wafa ka rasta lamba nahin hai
- Book : Anoop Jalota ki Ghazalen (Pg. 65)
- Author : Anoop Jalota
- Publication : Daimond Pocket Books, Daryaganj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.