nahin hai yun ki faqat raat hi nahin kaTni
nahīñ hai yuuñ ki faqat raat hī nahīñ kaTnī
tire baġhair to ye zindagī nahīñ kaTnī
ḳhushī ke din to guzarne haiñ chand lamhoñ meñ
ghaḌī koī bhī magar dukh-bharī nahīñ kaTnī
banegī baat charāġh-e-ḳhudī ke jalne se
parā.ī aag se ye tīrgī nahīñ kaTnī
hai be-ḳhudī se 'ibārat ye zindagī ai dost
baġhair sāġhar o be-shā'irī nahīñ kaTnī
rahegī us ke palaTne kī aarzū jab tak
qamar 'malāl' tirī be-kalī nahīñ kaTnī
nahin hai yun ki faqat raat hi nahin kaTni
tere baghair to ye zindagi nahin kaTni
KHushi ke din to guzarne hain chand lamhon mein
ghaDi koi bhi magar dukh-bhari nahin kaTni
banegi baat charagh-e-KHudi ke jalne se
parai aag se ye tirgi nahin kaTni
hai be-KHudi se 'ibarat ye zindagi ai dost
baghair saghar o be-sha'iri nahin kaTni
rahegi us ke palaTne ki aarzu jab tak
qamar 'malal' teri be-kali nahin kaTni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.