nahin hongi kabhi phir aabdida
nahīñ hoñgī kabhī phir ābdīda
karūñgī vasvasoñ ko sar-burīda
muḳhālif haiñ pas-e-dīvār mere
sar-e-mahfil jo paḌhte haiñ qasīda
uThā.ūñgī hazāroñ bojh tanhā
bhale hālāt jitne hoñ kashīda
masā.ib se huī hai jāñ-ḳhalāsī
magar ye dil hai kyoñ itnā kabīda
chalo ab alvidā.a kahte haiñ tum ko
amal ye hai agarche jāñ-gazīda
sukūñ dūñgī maiñ tere zehn-o-dil ko
sunā kar apnī ġhazleñ chīda chīda
zamāne bhar kī ne.amat us ne paa.ī
mile haiñ jis ko ausāf-e-hamīda
rafū-gar DhūñD laa.e koī 'ushba'
liye phirte haiñ ham dāman-darīda
nahin hongi kabhi phir aabdida
karungi waswason ko sar-burida
muKHalif hain pas-e-diwar mere
sar-e-mahfil jo paDhte hain qasida
uThaungi hazaron bojh tanha
bhale haalat jitne hon kashida
masaib se hui hai jaan-KHalasi
magar ye dil hai kyon itna kabida
chalo ab alwidaa kahte hain tum ko
amal ye hai agarche jaan-gazida
sukun dungi main tere zehn-o-dil ko
suna kar apni ghazlen chida chida
zamane bhar ki neamat us ne pai
mile hain jis ko ausaf-e-hamida
rafu-gar DhunD lae koi 'ushba'
liye phirte hain hum daman-darida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.