nahin hota kabhi achchha hamara
nahīñ hotā kabhī achchhā hamārā
udāsī se rahā rishta hamārā
miyāñ ranjish musībat ban ga.ī hai
ki bāġhī ban gayā laḌkā hamārā
tumhārī hī taraqqī ho ga.ī hai
raqīboñ ne ye dil toḌā hamārā
mohabbat se vo duniyā hī badal dī
jahāñ par bhī chalā sikka hamārā
lage the daañv par tum aur begam
ki joker le ga.e ikkā hamārā
nahin hota kabhi achchha hamara
udasi se raha rishta hamara
miyan ranjish musibat ban gai hai
ki baghi ban gaya laDka hamara
tumhaari hi taraqqi ho gai hai
raqibon ne ye dil toDa hamara
mohabbat se wo duniya hi badal di
jahan par bhi chala sikka hamara
lage the danw par tum aur begam
ki joker le gae ikka hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.