nahin hota ubur-e-bahr-e-gham aasan nahin hota
nahīñ hotā ubūr-e-bahr-e-ġham āsāñ nahīñ hotā
kabhī kashtī nahīñ hotī kabhī sāmāñ nahīñ hotā
jise fikr-e-ma.āl-e-gardish-e-daurāñ nahīñ hotā
use insāñ nahīñ kahte haiñ vo insāñ nahīñ hotā
nahīñ hotā dil-e-nāshād kā darmāñ nahīñ hotā
kisī sūrat nahīñ hotā kisī unvāñ nahīñ hotā
munavvar jis ke dil meñ āriz-e-jānāñ nahīñ hotā
mirī dānist meñ vo hāfiz-e-qur.āñ nahīñ hotā
yahāñ dil hī nahīñ rakhte ki armānoñ kā jhagḌā ho
ḳhudā jaane ki kyā hotā hai kyā armāñ nahīñ hotā
tarīqat kī ḳhabar kyā us ko vo kyā ma.arifat jaane
kabhī vaa.iz sharīk-e-mahfil-e-rindāñ nahīñ hotā
ye pichhlī shab ke aañsū bhī ajab tāsīr rakhte haiñ
kabhī mahrūm-e-rahmat dīda-e-giryāñ nahīñ hotā
numāyāñ huuñ gunahgāroñ meñ lekin phir bhī nādim huuñ
tirī shān-e-karīmī ke koī shāyāñ nahīñ hotā
sabhī kuchh hai ġham-o-andoh-o-yās-o-hasrat-o-armāñ
tirā āshiq gadā-e-be-sar-o-sāmāñ nahīñ hotā
tirī rahmat ke motī ban ke barse jab kabhī barse
sarishk-ālūd isyāñ-kār kā dāmāñ nahīñ hotā
hamesha āfiyat hī bā.is-e-āfāt hotī hai
jahāñ sāhil nahīñ hotā vahāñ tūfāñ nahīñ hotā
gadā-e-mai-kada huuñ do-jahāñ haiñ mere dāman meñ
mujhe to shikva-e-kotāhī-e-dāmāñ nahīñ hotā
nahīñ miltā jise faiz-e-janāb-e-sāqī-e-kausar
mayassar us ko 'shāġhil' bāda-e-irfāñ nahīñ hotā
nahin hota ubur-e-bahr-e-gham aasan nahin hota
kabhi kashti nahin hoti kabhi saman nahin hota
jise fikr-e-maal-e-gardish-e-dauran nahin hota
use insan nahin kahte hain wo insan nahin hota
nahin hota dil-e-nashad ka darman nahin hota
kisi surat nahin hota kisi unwan nahin hota
munawwar jis ke dil mein aariz-e-jaanan nahin hota
meri danist mein wo hafiz-e-quran nahin hota
yahan dil hi nahin rakhte ki armanon ka jhagDa ho
KHuda jaane ki kya hota hai kya arman nahin hota
tariqat ki KHabar kya us ko wo kya marifat jaane
kabhi waiz sharik-e-mahfil-e-rindan nahin hota
ye pichhli shab ke aansu bhi ajab tasir rakhte hain
kabhi mahrum-e-rahmat dida-e-giryan nahin hota
numayan hun gunahgaron mein lekin phir bhi nadim hun
teri shan-e-karimi ke koi shayan nahin hota
sabhi kuchh hai gham-o-andoh-o-yas-o-hasrat-o-arman
tera aashiq gada-e-be-sar-o-saman nahin hota
teri rahmat ke moti ban ke barse jab kabhi barse
sarishk-alud isyan-kar ka daman nahin hota
hamesha aafiyat hi bais-e-afat hoti hai
jahan sahil nahin hota wahan tufan nahin hota
gada-e-mai-kada hun do-jahan hain mere daman mein
mujhe to shikwa-e-kotahi-e-daman nahin hota
nahin milta jise faiz-e-janab-e-saqi-e-kausar
mayassar us ko 'shaghil' baada-e-irfan nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.