nahin is chup ke pichhe kuchh nahin aisa
nahīñ is chup ke pīchhe kuchh nahīñ aisā
bas ik shub.hā sā hai tum se bhī vābasta
use to ḳhair itnā bhī nahīñ ab yaad
ki pahlā jaal us ne kis pe pheñkā thā
ajab sukh thā kisī kā dukh baTāne meñ
maiñ apnī maut bhī zāhir na kartā thā
ham aisoñ kī jagah bantī hī kitnī hai
ham aisoñ kā Thaharnā kyā bichhaḌnā kyā
mujhe darkār hai phir bhīgī sī āñkheñ
vagarna aglī rut meñ suukh jā.ūñgā
yahī ik dukh to siine meñ sabhī ke hai
koī sach-much meñ apne saath thā bhī yā
nahin is chup ke pichhe kuchh nahin aisa
bas ek shubha sa hai tum se bhi wabasta
use to KHair itna bhi nahin ab yaad
ki pahla jal us ne kis pe phenka tha
ajab sukh tha kisi ka dukh baTane mein
main apni maut bhi zahir na karta tha
hum aison ki jagah banti hi kitni hai
hum aison ka Thaharna kya bichhaDna kya
mujhe darkar hai phir bhigi si aankhen
wagarna agli rut mein sukh jaunga
yahi ek dukh to sine mein sabhi ke hai
koi sach-much mein apne sath tha bhi ya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.