nahin jo chiz jahan mein use pukare gae
nahīñ jo chiiz jahāñ meñ use pukāre ga.e
'ajīb zehnī aziyyat meñ din guzāre ga.e
hamārī niiñd sipurd-e-ḳhayāl-e-yār huī
hamāre ḳhvāb raqīboñ ke sar se vaare ga.e
ġhamoñ ke gahre samundar se ham nikal aa.e
kisī ne ham ko Duboyā thā jab kināre ga.e
bisāt-e-‘ishq ke pahlū se ham uThe hī nahīñ
kisī kī jiit kī ḳhātir ḳhushī se haare ga.e
palaT ke dekhā jo us ne to kuchh tasallī huī
ki rā.egāñ to nahīñ ashk sab hamāre ga.e
hamārī maut kā malba bhī Dāliye ham par
ham apnī ziist ke pairoñ meñ aa ke maare ga.e
nahin jo chiz jahan mein use pukare gae
'ajib zehni aziyyat mein din guzare gae
hamari nind sipurd-e-KHayal-e-yar hui
hamare KHwab raqibon ke sar se ware gae
ghamon ke gahre samundar se hum nikal aae
kisi ne hum ko Duboya tha jab kinare gae
bisat-e-‘ishq ke pahlu se hum uThe hi nahin
kisi ki jit ki KHatir KHushi se haare gae
palaT ke dekha jo us ne to kuchh tasalli hui
ki raegan to nahin ashk sab hamare gae
hamari maut ka malba bhi Daliye hum par
hum apni zist ke pairon mein aa ke mare gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.