nahin khel bachchon ka kheti koi
nahīñ khel bachchoñ kā khetī koī
kisānoñ ke uupar sitam kī ghaḌī
kisānoñ pe gar zulm Dhā.egā tū
na zālim rahegī tirī rahbarī
ye firqa-parastoñ kā dekho karam
diloñ meñ na sab ke mohabbat rahī
kahāñ aa ga.e ham batā rahnumā
dhueñ meñ hai āThoñ pahar zindagī
ḳhushī sab ko hāsil huī hai kahāñ
ye mahñgā.ī aur chhin ga.ī naukrī
siyāsat meñ rahbar milā kar dharam
banā.ī hai hālat vatan kī burī
duā.eñ karo ab ḳhudā se 'samar'
sitamgar kī jaa.e hukūmat chalī
nahin khel bachchon ka kheti koi
kisanon ke upar sitam ki ghaDi
kisanon pe gar zulm Dhaega tu
na zalim rahegi teri rahbari
ye firqa-paraston ka dekho karam
dilon mein na sab ke mohabbat rahi
kahan aa gae hum bata rahnuma
dhuen mein hai aaThon pahar zindagi
KHushi sab ko hasil hui hai kahan
ye mahngai aur chhin gai naukri
siyasat mein rahbar mila kar dharam
banai hai haalat watan ki buri
duaen karo ab KHuda se 'samar'
sitamgar ki jae hukumat chali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.