nahin KHud par bhi qabu aur KHudai chahte hain hum
nahīñ ḳhud par bhī qaabū aur ḳhudā.ī chāhte haiñ ham
vo Thahrā chāñd aur us tak rasā.ī chāhte haiñ ham
tirī koī adā to yuuñ 'ayāñ ho jā.egī ham pe
tirī jānib se jānāñ bevafā.ī chāhte haiñ ham
mahaz ḳhvāboñ ḳhayāloñ meñ tirā dīdār ho kab tak
haqīqat meñ bhī tujh se āshnā.ī chāhte haiñ ham
piyeñ saaqī ke hāthoñ se mai-e-ulfat piyeñ jab bhī
mire nāseh bas itnī pārsā.ī chāhte haiñ ham
ham ab ġharq-e-taḳhayyul haiñ bas apnī zaat meñ itne
sivā un ke har ik se hī judā.ī chāhte haiñ ham
nahin KHud par bhi qabu aur KHudai chahte hain hum
wo Thahra chand aur us tak rasai chahte hain hum
teri koi ada to yun 'ayan ho jaegi hum pe
teri jaanib se jaanan bewafai chahte hain hum
mahaz KHwabon KHayalon mein tera didar ho kab tak
haqiqat mein bhi tujh se aashnai chahte hain hum
piyen saqi ke hathon se mai-e-ulfat piyen jab bhi
mere naseh bas itni parsai chahte hain hum
hum ab gharq-e-taKHayyul hain bas apni zat mein itne
siwa un ke har ek se hi judai chahte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.