nahin ki kashti-e-wahshat mein baadban nahin
nahīñ ki kashtī-e-vahshat meñ bādbān nahīñ
malāl ye hai ki sāhil pe vo makān nahīñ
kahīñ pe hogā koī chāñd ham ko kyā mālūm
hamāre kamre kī khiḌkī meñ āsmān nahīñ
havā ke ruḳh pe laveñ muttahid nahīñ varna
abhī charāġhoñ meñ aisā nahīñ ki jaan nahīñ
ye kaisā shahr hai kis shahryār se pūchhūñ
ye kaisī mez pe huuñ jis pe mezbān nahīñ
na us kī aañkh meñ motī na mere ḳhvāb meñ jhiil
tamāsha ab ke baras koī darmiyān nahīñ
maiñ us ko sochūñgā aur dil ko kuchh nahīñ hogā
yaqīn yuuñ hai ki ab ke koī gumān nahīñ
nahin ki kashti-e-wahshat mein baadban nahin
malal ye hai ki sahil pe wo makan nahin
kahin pe hoga koi chand hum ko kya malum
hamare kamre ki khiDki mein aasman nahin
hawa ke ruKH pe lawen muttahid nahin warna
abhi charaghon mein aisa nahin ki jaan nahin
ye kaisa shahr hai kis shahryar se puchhun
ye kaisi mez pe hun jis pe mezban nahin
na us ki aankh mein moti na mere KHwab mein jhil
tamasha ab ke baras koi darmiyan nahin
main us ko sochunga aur dil ko kuchh nahin hoga
yaqin yun hai ki ab ke koi guman nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.