nahin ki main tha mere dhyan mein nahin aaya
nahīñ ki maiñ thā mire dhyān meñ nahīñ aayā
kuchh itnā paas thā pahchān meñ nahīñ aayā
vafā na tār-e-garebāñ ne kī nazar kī tarah
nikal gayā to garebān meñ nahīñ aayā
chhupā chhupā sā phirā dard muskurāhaT meñ
jo saath the unheñ pahchān meñ nahīñ aayā
hazār baar tasavvur ke shahr se guzrā
vo ek sher jo dīvān meñ nahīñ aayā
ham 'ashk' DhūñDte phirte the kyā yahī chehra
ki mil gayā hai to pahchān meñ nahīñ aayā
nahin ki main tha mere dhyan mein nahin aaya
kuchh itna pas tha pahchan mein nahin aaya
wafa na tar-e-gareban ne ki nazar ki tarah
nikal gaya to gareban mein nahin aaya
chhupa chhupa sa phira dard muskurahaT mein
jo sath the unhen pahchan mein nahin aaya
hazar bar tasawwur ke shahr se guzra
wo ek sher jo diwan mein nahin aaya
hum 'ashk' DhunDte phirte the kya yahi chehra
ki mil gaya hai to pahchan mein nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.