nahin koi KHabar karna nahin hai
nahīñ koī ḳhabar karnā nahīñ hai
hameñ kuchh bhī asar karnā nahīñ hai
bahut hī ḳhūbsūrat zindagī hai
magar āsāñ basar karnā nahīñ hai
havā ko rāsta gar mil bhī jaa.e
charāġhoñ par asar karnā nahīñ hai
gharauñde hī meñ apne lauT jā.ūñ
ki ḳhud ko dar-ba-dar karnā nahīñ hai
hazāroñ rāste to muntazir haiñ
taḳhayyul meñ safar karnā nahīñ hai
lubhāte haiñ na.e paude hameñ bhī
magar sab ko shajar karnā nahīñ hai
haiñ ab bhī ishq kī bāteñ gavāra
lahū dil ko magar karnā nahīñ hai
agar hai zindagī se pyaar 'ādil'
muhim koī bhī sar karnā nahīñ hai
nahin koi KHabar karna nahin hai
hamein kuchh bhi asar karna nahin hai
bahut hi KHubsurat zindagi hai
magar aasan basar karna nahin hai
hawa ko rasta gar mil bhi jae
charaghon par asar karna nahin hai
gharaunde hi mein apne lauT jaun
ki KHud ko dar-ba-dar karna nahin hai
hazaron raste to muntazir hain
taKHayyul mein safar karna nahin hai
lubhate hain nae paude hamein bhi
magar sab ko shajar karna nahin hai
hain ab bhi ishq ki baaten gawara
lahu dil ko magar karna nahin hai
agar hai zindagi se pyar 'adil'
muhim koi bhi sar karna nahin hai
- Book : Sitara Sang (Gazals) (Pg. 37)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Nirali Duniya Publications,Darya Ganj, Delhi (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.