nahin kuchh abr hi shagird meri ashk-bari ka
nahin kuchh abr hi shagird meri ashk-bari ka
Meer Mohammadi Bedar
MORE BYMeer Mohammadi Bedar
nahīñ kuchh abr hī shāgird merī ashk-bārī kā
sabaq letī hai mujh se barq bhī aa be-qarārī kā
chaman meñ aisī hī naġhma-sarā.ī kī ki bulbul ko
sarīr-ārā-e-gulshan ne diyā ḳhil.at hazārī kā
sahāb-e-surḳh meñ is rang se chamkī nahīñ bijlī
jo hai jhumkā tire dāmān-e-rangīñ par kanārī kā
Tuk ai but apne mukhḌe se uThā de gosha-e-burqā
ki in masjid-nashīnoñ ko hai da.avā dīn-dārī kā
dikhā.ūñ gar tire kūche meñ ashk apne kī gul-rezī
tiḌaq jaave kaleja ashk se abr-e-bahārī kā
karūñ kyā tere bin dekhe maiñ ik dam rah nahīñ saktā
ki huuñ majbūr maiñ is amr meñ be-iḳhtyārī kā
na ab ārām hai dil ko na ḳhvāb āñkhoñ meñ aatā hai
samar 'bedār' mujh ko ye milā us gul kī yaarī kā
nahin kuchh abr hi shagird meri ashk-bari ka
sabaq leti hai mujh se barq bhi aa be-qarari ka
chaman mein aisi hi naghma-sarai ki ki bulbul ko
sarir-ara-e-gulshan ne diya KHilat hazari ka
sahab-e-surKH mein is rang se chamki nahin bijli
jo hai jhumka tere daman-e-rangin par kanari ka
Tuk ai but apne mukhDe se uTha de gosha-e-burqa
ki in masjid-nashinon ko hai dawa din-dari ka
dikhaun gar tere kuche mein ashk apne ki gul-rezi
tiDaq jawe kaleja ashk se abr-e-bahaari ka
karun kya tere bin dekhe main ek dam rah nahin sakta
ki hun majbur main is amr mein be-iKHtyari ka
na ab aaram hai dil ko na KHwab aankhon mein aata hai
samar 'bedar' mujh ko ye mila us gul ki yari ka
- Deewan-e-Bedar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.