nahin kuchh aur to mumkin thi KHud-kushi phir bhi
![Muqeem Ehsan Kaleem Muqeem Ehsan Kaleem](https://www.rekhta.org/Content/Images/quill.png)
nahin kuchh aur to mumkin thi KHud-kushi phir bhi
Muqeem Ehsan Kaleem
MORE BYMuqeem Ehsan Kaleem
nahīñ kuchh aur to mumkin thī ḳhud-kushī phir bhī
hai koī baat ki jiitā hai aadmī phir bhī
ye tīrgī to bas ik gardish-e-zamīñ tak hai
magar ye raat jo ham se na kaT sakī phir bhī
chaman luTā hai ḳhud ahl-e-chaman kī sāzish se
kalī kalī hai magar mahv-e-ḳhvāb sī phir bhī
kisī ko pā ke bhī aksar gumāñ ye hotā hai
ki jaise rah ga.ī baaqī koī kamī phir bhī
hamīñ pe yūrish-e-zulmat hamīñ haiñ kushta-e-shab
hamīñ haiñ pesh-rav-e-sub.h-o-raushnī phir bhī
nahin kuchh aur to mumkin thi KHud-kushi phir bhi
hai koi baat ki jita hai aadmi phir bhi
ye tirgi to bas ek gardish-e-zamin tak hai
magar ye raat jo hum se na kaT saki phir bhi
chaman luTa hai KHud ahl-e-chaman ki sazish se
kali kali hai magar mahw-e-KHwab si phir bhi
kisi ko pa ke bhi aksar guman ye hota hai
ki jaise rah gai baqi koi kami phir bhi
hamin pe yurish-e-zulmat hamin hain kushta-e-shab
hamin hain pesh-raw-e-subh-o-raushni phir bhi
- Ghazal Encyclopaedia
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.