nahin malum kitni baDh gai hai
nahīñ mālūm kitnī baḌh ga.ī hai
magar sach hai udāsī baḌh ga.ī hai
ye hāsil hai qarīb aane kā apne
hamāre beach duurī baḌh ga.ī hai
tumhārī yaad kā mausam hai badlā
achānak kitnī sardī baḌh ga.ī hai
tumhāre ba.ad sab kuchh Thiik sā hai
faqat thoḌī sī dāḌhī baḌh ga.ī hai
ḳhamoshī baḌh ga.ī hai kuchh dinoñ se
yaqīñ maano ki kaafī baḌh ga.ī hai
nahin malum kitni baDh gai hai
magar sach hai udasi baDh gai hai
ye hasil hai qarib aane ka apne
hamare beach duri baDh gai hai
tumhaari yaad ka mausam hai badla
achanak kitni sardi baDh gai hai
tumhaare baad sab kuchh Thik sa hai
faqat thoDi si daDhi baDh gai hai
KHamoshi baDh gai hai kuchh dinon se
yaqin mano ki kafi baDh gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.