nahin malum paenge sukun ahl-e-jahan kab tak
nahīñ mā'lūm pā.eñge sukūñ ahl-e-jahāñ kab tak
ḳhudā jaane rahegā is zamīñ par āsmāñ kab tak
ye afsāna abhī to zer-e-unvān-e-karam bhī hai
sunā.e jā.ūñ maiñ un ke sitam kī dāstāñ kab tak
qafas meñ to mujhe jab tak bhī rahnā ho magar yārab
tasavvur meñ mire jaltā rahegā āshiyāñ kab tak
zamīr ālūda-e-bātil zabāñ āzurda-e-nā-haq
tirī mahfil meñ rah kar ham milā.eñ haañ meñ haañ kab tak
ġhazab hai Thes lagnā 'ishq kī ḳhuddār fitrat ko
bas ai chashm-e-karam ab iltifāt-e-rā.egāñ kab tak
dil-e-māyūs meñ kuchh ḳhār-e-hasrat se khaTakte haiñ
ḳhudā jaane raheñgī raakh meñ chingāriyāñ kab tak
nahīñ jab pās-e-va.ada to mukar bhī jāoge ik din
badal jā.egā jab dil to na badlegī zabāñ kab tak
kabhī ummīd kī nazroñ se dekh apnī taraf 'bismil'
nigāh-e-yās se dekhegā sū-e-asmāñ kab tak
nahin ma'lum paenge sukun ahl-e-jahan kab tak
KHuda jaane rahega is zamin par aasman kab tak
ye afsana abhi to zer-e-unwan-e-karam bhi hai
sunae jaun main un ke sitam ki dastan kab tak
qafas mein to mujhe jab tak bhi rahna ho magar yarab
tasawwur mein mere jalta rahega aashiyan kab tak
zamir aaluda-e-baatil zaban aazurda-e-na-haq
teri mahfil mein rah kar hum milaen han mein han kab tak
ghazab hai Thes lagna 'ishq ki KHuddar fitrat ko
bas ai chashm-e-karam ab iltifat-e-raegan kab tak
dil-e-mayus mein kuchh KHar-e-hasrat se khaTakte hain
KHuda jaane rahengi rakh mein chingariyan kab tak
nahin jab pas-e-wada to mukar bhi jaoge ek din
badal jaega jab dil to na badlegi zaban kab tak
kabhi ummid ki nazron se dekh apni taraf 'bismil'
nigah-e-yas se dekhega su-e-asman kab tak
- Book : Kulliyat-e-bismil Saeedi (Pg. 274)
- Author : Bismil Saeedi
- Publication : Sahitya Akademi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.