nahin malum ye kya kar chuke hain
nahīñ mālūm ye kyā kar chuke haiñ
ham apne dil se dhokā kar chuke haiñ
zarā kār-e-jahāñ bhī kar ke dekheñ
bahut kār-e-tamannā kar chuke haiñ
koī patthar hī aa.e ab kahīñ se
ham apne dil ko shīsha kar chuke haiñ
zamāna hai bure ham-sā.e jaisā
so ham-sā.e se jhagḌā kar chuke haiñ
sameTegā koī kaise jo patte
bikharne kā tahayya kar chuke haiñ
bahut shaffāf thā bādal kā dāman
jise ham log mailā kar chuke haiñ
vo dil jis ne hameñ rusvā kiyā thā
ham aaj us dil ko rusvā kar chuke haiñ
nahin malum ye kya kar chuke hain
hum apne dil se dhoka kar chuke hain
zara kar-e-jahan bhi kar ke dekhen
bahut kar-e-tamanna kar chuke hain
koi patthar hi aae ab kahin se
hum apne dil ko shisha kar chuke hain
zamana hai bure ham-sae jaisa
so ham-sae se jhagDa kar chuke hain
sameTega koi kaise jo patte
bikharne ka tahayya kar chuke hain
bahut shaffaf tha baadal ka daman
jise hum log maila kar chuke hain
wo dil jis ne hamein ruswa kiya tha
hum aaj us dil ko ruswa kar chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.