nahin makan na sahi sar pe aasman to hai
nahīñ makāñ na sahī sar pe āsmān to hai
zamīñ pe hai dar-o-dīvār sā.ebān to hai
hazār mujh pe ġhamoñ ke pahāḌ TuuT paḌeñ
mujhe bachāne tirī yaad kī chaTān to hai
nahīñ ḳhudā.ī meñ koī bhī mehrbāñ na sahī
ḳhudā.ī jis kī hai vo mujh pe mehrbān to hai
nahīñ hai mujh ko koī da.avā-e-zabāñ-dānī
yahī bahut hai ki urdu mirī zabān to hai
mujhī pe aaj sitam haiñ bajā-e-lutf-o-karam
ḳhushī hai ye mujhe ik rabt darmiyān to hai
kareñ hazār burā.ī vo ġhair kī 'rāhī'
magar zamāne ko kyā kiije bad-gumān to hai
nahin makan na sahi sar pe aasman to hai
zamin pe hai dar-o-diwar saeban to hai
hazar mujh pe ghamon ke pahaD TuT paDen
mujhe bachane teri yaad ki chaTan to hai
nahin KHudai mein koi bhi mehrban na sahi
KHudai jis ki hai wo mujh pe mehrban to hai
nahin hai mujh ko koi dawa-e-zaban-dani
yahi bahut hai ki urdu meri zaban to hai
mujhi pe aaj sitam hain baja-e-lutf-o-karam
KHushi hai ye mujhe ek rabt darmiyan to hai
karen hazar burai wo ghair ki 'rahi'
magar zamane ko kya kije bad-guman to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.