nahin manzil mujhe malum par chalta raha hun main
nahin manzil mujhe malum par chalta raha hun main
Ritesh Singh Rahil
MORE BYRitesh Singh Rahil
nahīñ manzil mujhe ma.alūm par chaltā rahā huuñ maiñ
safar ke naam par ḳhud ko faqat chhaltā rahā huuñ maiñ
añdherā jo diyā thā vaqt ne us ko miTāne ko
lagā kar aag apne aap ko jaltā rahā huuñ maiñ
vafā jab ban ga.ī nāsūr phir kyuuñ ishq māñge hai
yahī kah kar na.e mahbūb se Taltā rahā huuñ maiñ
koī marham nahīñ maujūd jis se dard ye kam ho
tabhī to dard ko hī dard par maltā rahā huuñ maiñ
milī hai sarparastī ālimoñ kī yaañ mujhe jab se
hamesha ilm pā kar phūltā-phaltā rahā huuñ maiñ
nahin manzil mujhe malum par chalta raha hun main
safar ke nam par KHud ko faqat chhalta raha hun main
andhera jo diya tha waqt ne us ko miTane ko
laga kar aag apne aap ko jalta raha hun main
wafa jab ban gai nasur phir kyun ishq mange hai
yahi kah kar nae mahbub se Talta raha hun main
koi marham nahin maujud jis se dard ye kam ho
tabhi to dard ko hi dard par malta raha hun main
mili hai sarparasti aalimon ki yan mujhe jab se
hamesha ilm pa kar phulta-phalta raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.