nahin miTtin teri yaaden nadi mein KHat bahane se
nahin miTtin teri yaaden nadi mein KHat bahane se
Pramod Sharma Asar
MORE BYPramod Sharma Asar
nahīñ miTtīñ tirī yādeñ nadī meñ ḳhat bahāne se
ye aksar lauT aatī haiñ kisī dilkash bahāne se
bhulā paayā nahīñ maiñ daur-e-māzī ke hasīñ lamhe
kabhī tū yaad bhī kar le ta'alluq ye purāne se
namak-pāshī zamāne ne mire zaḳhmoñ pe kī paiham
magar maiñ baaz kab aayā huuñ phir bhī muskurāne se
tumheñ jis ke liye ham ne chunā vo kaam bhī karnā
mile tum ko agar fursat hamārā ghar jalāne se
muqābil aa.ine ke aa gayā hai bhuul se shāyad
mujhe lagtā hai kuchh aisā hī us ke tilmilāne se
qafas ko toḌne kī ab ke us ne bhī to Thānī hai
yahī paiġhām miltā hai paroñ ko phaḌphaḌāne se
mujhe mā'lūm hai hargiz palaT kar aa nahīñ saktā
guzārish hai magar merī 'asar' guzre zamāne se
nahin miTtin teri yaaden nadi mein KHat bahane se
ye aksar lauT aati hain kisi dilkash bahane se
bhula paya nahin main daur-e-mazi ke hasin lamhe
kabhi tu yaad bhi kar le ta'alluq ye purane se
namak-pashi zamane ne mere zaKHmon pe ki paiham
magar main baz kab aaya hun phir bhi muskurane se
tumhein jis ke liye hum ne chuna wo kaam bhi karna
mile tum ko agar fursat hamara ghar jalane se
muqabil aaine ke aa gaya hai bhul se shayad
mujhe lagta hai kuchh aisa hi us ke tilmilane se
qafas ko toDne ki ab ke us ne bhi to Thani hai
yahi paigham milta hai paron ko phaDphaDane se
mujhe ma'lum hai hargiz palaT kar aa nahin sakta
guzarish hai magar meri 'asar' guzre zamane se
- Book : Rang Sapno ke (Pg. 89)
- Author : Pramod Sharma 'Asar'
- Publication : Amrit Parkashan (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.