nahin mujhko hasrat ma-siwa pas ab uski yaad se kaam hai
nahin mujhko hasrat ma-siwa pas ab uski yaad se kaam hai
Aali Gopalpuri
MORE BYAali Gopalpuri
nahīñ mujh ko hasrat mā-sivā pas ab us kī yaad se kaam hai
na vo ab shabāb ke valvale na ḳhayāl-e-shīsha-o-jām hai
maiñ tire hī naam pe huuñ fidā tirī yaad kā mujhe aasrā
tire sang-e-dar pe mirī qazā mirī zindagī kā payām hai
kabhī aah kī kabhī ġhash hue kabhī dil ko thaam ke ro diye
tire hijr meñ hameñ roz-o-shab yahī mashġhala yahī kaam hai
jo nikal paḌe mire ashk-e-ġham sar-e-bazm aap ḳhafā na hoñ
jo ubal ke mil ga.ī ḳhaak meñ vo sharāb fāzil-e-jām hai
ye na pūchho kitnī hai dāstāñ nahīñ sunñā chāhte so raho
kahūñ kaise apnī zabāñ se maiñ ki fasāna merā tamām hai
jo guzar gayā koī rāh-rau mirī qabr par to ye kah uThā
ye kisī javān kī qabr hai ki udaas jo sar-e-shām hai
huiiñ chaar āñkheñ bhī gar kabhī to nigāh sharm se pher lī
ye ajab tarah kī hai dostī na salām hai na kalām hai
vo jo ik hai 'ālī'-e-ḳhasta-tan vo asīr-e-zulf-e-habīb hai
jahāñ dekhiye yahī tazkira yahī zikr sā sar-e-ām he
nahin mujh ko hasrat ma-siwa pas ab us ki yaad se kaam hai
na wo ab shabab ke walwale na KHayal-e-shisha-o-jam hai
main tere hi nam pe hun fida teri yaad ka mujhe aasra
tere sang-e-dar pe meri qaza meri zindagi ka payam hai
kabhi aah ki kabhi ghash hue kabhi dil ko tham ke ro diye
tere hijr mein hamein roz-o-shab yahi mashghala yahi kaam hai
jo nikal paDe mere ashk-e-gham sar-e-bazm aap KHafa na hon
jo ubal ke mil gai KHak mein wo sharab fazil-e-jam hai
ye na puchho kitni hai dastan nahin sunna chahte so raho
kahun kaise apni zaban se main ki fasana mera tamam hai
jo guzar gaya koi rah-rau meri qabr par to ye kah uTha
ye kisi jawan ki qabr hai ki udas jo sar-e-sham hai
huin chaar aankhen bhi gar kabhi to nigah sharm se pher li
ye ajab tarah ki hai dosti na salam hai na kalam hai
wo jo ek hai 'ali'-e-KHasta-tan wo asir-e-zulf-e-habib hai
jahan dekhiye yahi tazkira yahi zikr sa sar-e-am he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.