nahin parwah ab shayad kisi ko
nahīñ parvāh ab shāyad kisī ko
yahī shikva hai merī zindagī ko
laḌā.ī hotī hai tab tab hamārī
nazar lagtī hai jab bhī dostī ho
farishte merī jānib aa rahe haiñ
qadam merā baḌhā hai bandagī ko
añdherā chhā rahā hai ghar meñ mere
ḳhabar kar do zarā sā raushnī ko
bahut pachhtā.egā 'haidar' tū ik din
baḌhāvā de rahā hai shā.erī ko
nahin parwah ab shayad kisi ko
yahi shikwa hai meri zindagi ko
laDai hoti hai tab tab hamari
nazar lagti hai jab bhi dosti ho
farishte meri jaanib aa rahe hain
qadam mera baDha hai bandagi ko
andhera chha raha hai ghar mein mere
KHabar kar do zara sa raushni ko
bahut pachhtaega 'haidar' tu ek din
baDhawa de raha hai shaeri ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.