nahin rahega hamesha ghubar mere liye
nahīñ rahegā hamesha ġhubār mere liye
khileñge phuul sar-e-rahguzār mere liye
kabhī to hogī kisī ko mirī kamī mahsūs
kabhī to hogā koī sogvār mere liye
taras ga.e the mire lab hañsī ko jis ke sabab
huā hai aaj vahī ashk-bār mere liye
vo mere qurb se mahrūm hī rahe shāyad
vo muntazir hai samundar ke paar mere liye
mirī talāsh meñ hogā mirā nasīb kabhī
vo vaqt lā.egā parvardigār mere liye
nahin rahega hamesha ghubar mere liye
khilenge phul sar-e-rahguzar mere liye
kabhi to hogi kisi ko meri kami mahsus
kabhi to hoga koi sogwar mere liye
taras gae the mere lab hansi ko jis ke sabab
hua hai aaj wahi ashk-bar mere liye
wo mere qurb se mahrum hi rahe shayad
wo muntazir hai samundar ke par mere liye
meri talash mein hoga mera nasib kabhi
wo waqt laega parwardigar mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.