nahin roke rukega karwan manzil se niklega
nahīñ roke rukegā kārvāñ manzil se niklegā
hamārā dard-e-dil āḳhir tumhāre dil se niklegā
hamārā haal to majbūr ho kar ho gayā maazī
hamārā kaam ab to apne mustaqbil se niklegā
use āsūdgī kī god kab ārām de paa.ī
safīna sū-e-tūfāñ vādī-e-sāhil se niklegā
shahādat de ke jis ko pī gayā mard-e-mujāhid bhī
vo na.ara ab zabān-e-ḳhanjar-e-qātil se niklegā
sitāro tum tasallī do na do lekin ye honā hai
jo ab soyā paḌā hai sub.h ke mahmil se niklegā
tirā rasta nazar aane lagā hai dhund chhañTne se
sañbhal ai dard-e-dil ab to ġhubār-e-dil se niklegā
taqāzā hai ki ik dīvāna mahfil se nikal jaa.e
nikal to jā.egā vahshī magar kis dil se niklegā
mubārak ho tujhe raas aa gayā tāñbā mubārak ho
bas ab be-kār sā 'kundan' tirī mahfil se niklegā
nahin roke rukega karwan manzil se niklega
hamara dard-e-dil aaKHir tumhaare dil se niklega
hamara haal to majbur ho kar ho gaya mazi
hamara kaam ab to apne mustaqbil se niklega
use aasudgi ki god kab aaram de pai
safina su-e-tufan wadi-e-sahil se niklega
shahadat de ke jis ko pi gaya mard-e-mujahid bhi
wo nara ab zaban-e-KHanjar-e-qatil se niklega
sitaro tum tasalli do na do lekin ye hona hai
jo ab soya paDa hai subh ke mahmil se niklega
tera rasta nazar aane laga hai dhund chhanTne se
sanbhal ai dard-e-dil ab to ghubar-e-dil se niklega
taqaza hai ki ek diwana mahfil se nikal jae
nikal to jaega wahshi magar kis dil se niklega
mubarak ho tujhe ras aa gaya tanba mubarak ho
bas ab be-kar sa 'kundan' teri mahfil se niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.