nahin sone diya pal bhar bhi sari raat kutton ne
nahin sone diya pal bhar bhi sari raat kutton ne
Hameed Dilkash Khandwi
MORE BYHameed Dilkash Khandwi
nahīñ sone diyā pal bhar bhī saarī raat kuttoñ ne
sunā.e saiñkaḌoñ parkār ke naġhmāt kuttoñ ne
kisī kī Taañg lī hai aur kisī kā haath kuttoñ ne
mahalle bhar se hāsil kī hai ye sauġhāt kuttoñ ne
haqīqat kī na kī logoñ se tahqīqāt kuttoñ ne
lagā.e ham pe be-buniyād ilzāmāt kuttoñ ne
bahādur thā shikārī thā magar ghar kī taraf bhāgā
kiyā raste meñ jab pīchhā mirā chhe saat kuttoñ ne
bhalā insān ho ke un ke muñh lagtā bhī maiñ kaise
agarche ḳhuub bhaḌkā.e mire jazbāt kuttoñ ne
kabhī ik Thīkarī bhī to ghaḌe ko phoḌ detī hai
haqīqat hai ki dī hai sher ko bhī maat kuttoñ ne
khilāyā maiñ ne aur merā hī khā ke mujh pe ġhurrā.e
dikhā dī jaate jaate apnī sab auqāt kuttoñ ne
nahin sone diya pal bhar bhi sari raat kutton ne
sunae sainkaDon parkar ke naghmat kutton ne
kisi ki Tang li hai aur kisi ka hath kutton ne
mahalle bhar se hasil ki hai ye saughat kutton ne
haqiqat ki na ki logon se tahqiqat kutton ne
lagae hum pe be-buniyaad ilzamat kutton ne
bahadur tha shikari tha magar ghar ki taraf bhaga
kiya raste mein jab pichha mera chhe sat kutton ne
bhala insan ho ke un ke munh lagta bhi main kaise
agarche KHub bhaDkae mere jazbaat kutton ne
kabhi ek Thikari bhi to ghaDe ko phoD deti hai
haqiqat hai ki di hai sher ko bhi mat kutton ne
khilaya main ne aur mera hi kha ke mujh pe ghurrae
dikha di jate jate apni sab auqat kutton ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.