nahin wo khol kar lab bolta hai
nahīñ vo khol kar lab boltā hai
ye us kā kaun sā Dhab boltā hai
vo mahv-e-guftugū yuuñ hai ki jaise
kisī bachche se maktab boltā hai
mile chup-chāp to apnī sunā.ūñ
vo suntā hī nahīñ jab boltā hai
kahūñ kaise hai us kī zaat mufrad
vo har jumla murakkab boltā hai
kitāb ik aisī ham khole hue haiñ
hamāre dū-badū rab boltā hai
mire andar hai zinda ek shā.ir
kabhī chup thā magar ab boltā hai
muballiġh 'badr' hai dīn-e-suḳhan kā
suno kyā us kā maz.hab boltā hai
nahin wo khol kar lab bolta hai
ye us ka kaun sa Dhab bolta hai
wo mahw-e-guftugu yun hai ki jaise
kisi bachche se maktab bolta hai
mile chup-chap to apni sunaun
wo sunta hi nahin jab bolta hai
kahun kaise hai us ki zat mufrad
wo har jumla murakkab bolta hai
kitab ek aisi hum khole hue hain
hamare du-badu rab bolta hai
mere andar hai zinda ek shair
kabhi chup tha magar ab bolta hai
muballigh 'badr' hai din-e-suKHan ka
suno kya us ka mazhab bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.