nahin yan baiThte jo ek dam tum
nahīñ yaañ baiThte jo ek dam tum
to kyā Darte ho ham se ai sanam tum
hañso bolo milo baiTho bhalā jī
nahīñ kyā āshiq-o-māshūq ham tum
jo yaañ aayā kabhī chāho to be-ḳhauf
idhar laayā karo apnā qadam tum
nihāyat sāda-dil haiñ ham to ai jaañ
na samjho ham meñ hargiz pech-o-ḳham tum
sunā jab ye 'nazīr' us ne to hañs kar
kahā ye to hameñ dete ho dam tum
nahin yan baiThte jo ek dam tum
to kya Darte ho hum se ai sanam tum
hanso bolo milo baiTho bhala ji
nahin kya aashiq-o-mashuq hum tum
jo yan aaya kabhi chaho to be-KHauf
idhar laya karo apna qadam tum
nihayat sada-dil hain hum to ai jaan
na samjho hum mein hargiz pech-o-KHam tum
suna jab ye 'nazir' us ne to hans kar
kaha ye to hamein dete ho dam tum
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.