Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin ye aks hua hai samajhta kyun nahin main

Shafaq Sopori

nahin ye aks hua hai samajhta kyun nahin main

Shafaq Sopori

MORE BYShafaq Sopori

    nahīñ ye aks huā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ

    mire qarīb khaḌā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ

    ye chiiz aur nahīñ koī merā saayā hai

    magar ye mujh se judā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ

    ye koī pahlū mirā hai jo zaat se merī

    ka.ī dinoñ se judā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ

    jahāñ pe jism dīvār meñ shigāf paḌā

    vahīñ se sabza ugā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ

    tumhārī aañkh se maiñ apne ḳhvāb dekhtā huuñ

    yahī to merī sazā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ

    phisaltī ret pe fihrist-e-ḳhvāb likhnī hai

    ye imtihān kaḌā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ

    dhuāñ huuñ pūchhtā huuñ vo gayā hai sho.ale par

    ki sho.ala us pe gayā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ

    tum apne-āp se kyuuñ iḳhtilāf karte ho

    'shafaq' mo.āmla kyā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ

    nahin ye aks hua hai samajhta kyun nahin main

    mere qarib khaDa hai samajhta kyun nahin main

    ye chiz aur nahin koi mera saya hai

    magar ye mujh se juda hai samajhta kyun nahin main

    ye koi pahlu mera hai jo zat se meri

    kai dinon se juda hai samajhta kyun nahin main

    jahan pe jism ki diwar mein shigaf paDa

    wahin se sabza uga hai samajhta kyun nahin main

    tumhaari aankh se main apne KHwab dekhta hun

    yahi to meri saza hai samajhta kyun nahin main

    phisalti ret pe fihrist-e-KHwab likhni hai

    ye imtihan kaDa hai samajhta kyun nahin main

    dhuan hun puchhta hun wo gaya hai shoale par

    ki shoala us pe gaya hai samajhta kyun nahin main

    tum apne-ap se kyun iKHtilaf karte ho

    'shafaq' moamla kya hai samajhta kyun nahin main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now