nahin ye baat ki parwaz ka irada nahin
nahīñ ye baat ki parvāz kā irāda nahīñ
fazā-e-gulshan-e-hastī magar kushāda nahīñ
mizāj-e-ishq to apnā hai e'tidāl-pasand
yahī ravish hai kabhī kam nahīñ ziyāda nahīñ
ḳhizāñ meñ bhī mirā nashsha utar nahīñ saktā
ki ye hai josh-e-junūñ koī josh-e-bāda nahīñ
shu.ūr-o-fikr meñ āzād hai mizāj mirā
mire badan pe kisī aur kā labāda nahīñ
nigāh chāhiye tahrīr ho ḳhafī kī jalī
kitāb-e-zīst kā koī varaq bhī saada nahīñ
rah-e-hayāt meñ dānista misl-e-sham.a jale
hamārī zaat kā īsār be-irāda nahīñ
na zād-e-rāh kī ḳhvāhish na rāhbar kī talab
hamāre vāste dushvār koī jaada nahīñ
paḌā jo vaqt to ġhairoñ ne merā saath diyā
mire sharīk mire ahl-e-ḳhānvāda nahīñ
bisāt-e-dahr pe kyā chaal kāmyāb chale
tirī nazar meñ agar azmat-e-piyāda nahīñ
jahāñ meñ milne ko milte haiñ yuuñ to sab se 'lais'
magar kisī se bhī maqsūd istifāda nahīñ
nahin ye baat ki parwaz ka irada nahin
faza-e-gulshan-e-hasti magar kushada nahin
mizaj-e-ishq to apna hai e'tidal-pasand
yahi rawish hai kabhi kam nahin ziyaada nahin
KHizan mein bhi mera nashsha utar nahin sakta
ki ye hai josh-e-junun koi josh-e-baada nahin
shuur-o-fikr mein aazad hai mizaj mera
mere badan pe kisi aur ka labaada nahin
nigah chahiye tahrir ho KHafi ki jali
kitab-e-zist ka koi waraq bhi sada nahin
rah-e-hayat mein danista misl-e-shama jale
hamari zat ka isar be-irada nahin
na zad-e-rah ki KHwahish na rahbar ki talab
hamare waste dushwar koi jada nahin
paDa jo waqt to ghairon ne mera sath diya
mere sharik mere ahl-e-KHanwada nahin
bisat-e-dahr pe kya chaal kaamyab chale
teri nazar mein agar azmat-e-piyaada nahin
jahan mein milne ko milte hain yun to sab se 'lais'
magar kisi se bhi maqsud istifada nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.