nahin ye fikr ki wo shaKHs bewafa hoga
nahīñ ye fikr ki vo shaḳhs bevafā hogā
jo merā ho na sakā vo kisī kā kyā hogā
ye soch kar ke ta'āruf nahīñ diyā apnā
zarūr tum ne mire baare meñ sunā hogā
ye jānte haiñ ki siine meñ us ke patthar hai
magar yaqīn hai patthar meñ dil chhupā hogā
zabāñ pe laatā nahīñ hai kabhī jo zikr-e-‘ishq
zarūr 'ishq meñ pāgal kabhī rahā hogā
samajh rahe the mohabbat kā silsila jis ko
ḳhabar nahīñ thī ki vo ek hādisa hogā
ye soch kar tujhe ham yaad karte rahte haiñ
tujhe bhulāne kā koī to rāsta hogā
nahin ye fikr ki wo shaKHs bewafa hoga
jo mera ho na saka wo kisi ka kya hoga
ye soch kar ke ta'aruf nahin diya apna
zarur tum ne mere bare mein suna hoga
ye jaante hain ki sine mein us ke patthar hai
magar yaqin hai patthar mein dil chhupa hoga
zaban pe lata nahin hai kabhi jo zikr-e-‘ishq
zarur 'ishq mein pagal kabhi raha hoga
samajh rahe the mohabbat ka silsila jis ko
KHabar nahin thi ki wo ek hadisa hoga
ye soch kar tujhe hum yaad karte rahte hain
tujhe bhulane ka koi to rasta hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.