nahin zamane mein hasil kahin Thikana mujhe
nahīñ zamāne meñ hāsil kahīñ Thikāna mujhe
kahāñ kahāñ liye phirtā hai āb-o-dāna mujhe
vo dekhte haiñ ba-andāz-e-mujrimāna mujhe
ki jin se pyaar hai ai dost vālihāna mujhe
jhulastī dhuup meñ ai kaash aisā vaqt aa.e
nasīb ho tirī palkoñ kā āshiyāna mujhe
kabhī rahā na ġharīboñ se vāsta jis ko
vo de gayā mirī mehnat kā mehnatāna mujhe
balā se jurm ho ho insāf kī nigāhoñ meñ
tumhārī baat to lagtī hai munsifāna mujhe
talāsh-e-rizq meñ aa.e na jis meñ kotāhī
ilāhī de vahī parvāz-e-tā.irāna mujhe
maiñ sāda-lauhī pe apnī huuñ mutma.in yaaro
ḳhudā ke vāste samjhe na koī daanā mujhe
mirī hayāt kī ye bhī ajiib uljhan hai
bhulānā tujh ko kabhī bhī lagā ravā na mujhe
kitāb dī thī sadāqat kī maañ ne hāthoñ meñ
safar pe pahle-pahal jab kiyā ravāna mujhe
ḳhudā kā shukr hai ai 'shauq' ab bhī zinda huuñ
satā rahā hai zamāne se ye zamānā mujhe
nahin zamane mein hasil kahin Thikana mujhe
kahan kahan liye phirta hai aab-o-dana mujhe
wo dekhte hain ba-andaz-e-mujrimana mujhe
ki jin se pyar hai ai dost walihana mujhe
jhulasti dhup mein ai kash aisa waqt aae
nasib ho teri palkon ka aashiyana mujhe
kabhi raha na gharibon se wasta jis ko
wo de gaya meri mehnat ka mehnatana mujhe
bala se jurm ho ho insaf ki nigahon mein
tumhaari baat to lagti hai munsifana mujhe
talash-e-rizq mein aae na jis mein kotahi
ilahi de wahi parwaz-e-tairana mujhe
main sada-lauhi pe apni hun mutmain yaro
KHuda ke waste samjhe na koi dana mujhe
meri hayat ki ye bhi ajib uljhan hai
bhulana tujh ko kabhi bhi laga rawa na mujhe
kitab di thi sadaqat ki man ne hathon mein
safar pe pahle-pahal jab kiya rawana mujhe
KHuda ka shukr hai ai 'shauq' ab bhi zinda hun
sata raha hai zamane se ye zamana mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.