nai barish ke aane tak zamin pyasi rahegi
na.ī bārish ke aane tak zamīñ pyāsī rahegī
zamāne phir zamāne tak zamīñ pyāsī rahegī
nasheboñ meñ chhupe dariyāoñ se kahtā rahūñgā
faqat kaa.ī ugāne tak zamīñ pyāsī rahegī
zamīñ pyāsī thī ye daldal kī rut aane se pahle
so ab daldal haTāne tak zamīñ pyāsī rahegī
shikam kī aag kī ḳhātir gharoñ se jaane vaalo
tumhāre lauT aane tak zamīñ pyāsī rahegī
parindoñ ko Darāne kā kahā thā kis ne 'shaukat'
so un ke chahchahāne tak zamīñ pyāsī rahegī
nai barish ke aane tak zamin pyasi rahegi
zamane phir zamane tak zamin pyasi rahegi
nashebon mein chhupe dariyaon se kahta rahunga
faqat kai ugane tak zamin pyasi rahegi
zamin pyasi thi ye daldal ki rut aane se pahle
so ab daldal haTane tak zamin pyasi rahegi
shikam ki aag ki KHatir gharon se jaane walo
tumhaare lauT aane tak zamin pyasi rahegi
parindon ko Darane ka kaha tha kis ne 'shaukat'
so un ke chahchahane tak zamin pyasi rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.