nai baat chheDo nae lafz Dhaalo
na.ī baat chheḌo na.e lafz Dhālo
na.e tiir pheñko na.e par nikālo
na.ī choT khānī paḌegī chaman meñ
na.e ġham kī socho nayā rog paalo
hamārī nigāheñ tumhārī taraf haiñ
hasīñ ḳhāl-o-ḳhushbū ke ruḳhsār vaalo
vafāoñ ko masrūf rakkho chaman meñ
uTho raushnī do vatan ke ujālo
agar chāhte ho mohabbat se rahnā
ye nafrat ye ġhībat ke patthar haTā lo
tumhārā zamāna tumhārī ḳhudā.ī
baḌho zindagī ke taqāze sa.mbhālo
zarūrī hai shīrāza-bandī chaman kī
'amal kar ke duniyā ko jannat banā lo
ḳhudā bhī mohabbat ḳhudī bhī mohabbat
uTho aaj kī baat kal par na Taalo
mohabbat kā har dard pā loge 'zaidī'
ḳhudā ko agar apne dil meñ basā lo
nai baat chheDo nae lafz Dhaalo
nae tir phenko nae par nikalo
nai choT khani paDegi chaman mein
nae gham ki socho naya rog palo
hamari nigahen tumhaari taraf hain
hasin KHal-o-KHushbu ke ruKHsar walo
wafaon ko masruf rakkho chaman mein
uTho raushni do watan ke ujalo
agar chahte ho mohabbat se rahna
ye nafrat ye ghibat ke patthar haTa lo
tumhaara zamana tumhaari KHudai
baDho zindagi ke taqaze sambhaalo
zaruri hai shiraaza-bandi chaman ki
'amal kar ke duniya ko jannat bana lo
KHuda bhi mohabbat KHudi bhi mohabbat
uTho aaj ki baat kal par na Talo
mohabbat ka har dard pa loge 'zaidi'
KHuda ko agar apne dil mein basa lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.