nai bahaar nae gulsitan talash karo
na.ī bahār na.e gulsitāñ talāsh karo
phir us ke ba.ad na.e bāġhbāñ talāsh karo
yahāñ na māh-e-daraḳhshāñ na āftāb-e-hasīñ
tajalliyoñ ke na.e āsmāñ talāsh karo
jahāñ ke talḳh ġhamoñ se najāt kī ḳhātir
kisī ke gesū-e-ambar-fishāñ talāsh karo
yahāñ to barq kā pahra hai aur sarsar hai
pay-e-qayām na.e āshiyāñ talāsh karo
mushā.eron se natīja na she'r-goī se
rafīq-o-hamdam-e-urdu zabāñ talāsh karo
yahāñ to rahbar-o-rahzan meñ kuchh tamīz nahīñ
na.e amiir na.e kārvāñ talāsh karo
jahāñ meñ yuuñ to na guzregī zindagī 'shā.eq'
koī rafīq koī rāzdāñ talāsh karo
nai bahaar nae gulsitan talash karo
phir us ke baad nae baghban talash karo
yahan na mah-e-daraKHshan na aaftab-e-hasin
tajalliyon ke nae aasman talash karo
jahan ke talKH ghamon se najat ki KHatir
kisi ke gesu-e-ambar-fishan talash karo
yahan to barq ka pahra hai aur sarsar hai
pay-e-qayam nae aashiyan talash karo
mushaeron se natija na she'r-goi se
rafiq-o-hamdam-e-urdu zaban talash karo
yahan to rahbar-o-rahzan mein kuchh tamiz nahin
nae amir nae karwan talash karo
jahan mein yun to na guzregi zindagi 'shaeq'
koi rafiq koi raazdan talash karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.