Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nai duniya mujassam dilkashi malum hoti hai

Nushur Wahidi

nai duniya mujassam dilkashi malum hoti hai

Nushur Wahidi

MORE BYNushur Wahidi

    na.ī duniyā mujassam dilkashī ma.alūm hotī hai

    magar is husn meñ dil kamī ma.alūm hotī hai

    hijāboñ meñ nasīm-e-zindagī ma.alūm hotī hai

    kisī dāman halkī thartharī ma.alūm hotī hai

    mirī rātoñ ḳhunkī hai tire gesu-e-pur-ḳham meñ

    ye baḌhtī chhāñv bhī kitnī ghanī ma.alūm hotī hai

    vo achchhā thā jo beḌā mauj ke rahm o karam par thā

    ḳhizar aa.e to kashtī Dūbtī ma.alūm hotī hai

    ye dil tishnagī hai nazar pyaas hai saaqī

    har ik botal jo ḳhālī hai bharī ma.alūm hotī hai

    dam-e-āḳhir mudāva-e-dil-e-bīmār kyā ma.anī

    mujhe chhoḌo ki mujh ko niiñd ma.alūm hotī hai

    diyā ḳhāmosh hai lekin kisī dil to jaltā hai

    chale aao jahāñ tak raushnī ma.alūm hotī hai

    nasīm-e-zindagī ke soz se murjhā.ī jaatī hai

    ye hastī phuul ik pañkhuḌī ma.alūm hotī hai

    jidhar dekhā 'nushūr' ik ālam-e-dīgar nazar aayā

    musībat meñ ye duniyā ajnabī ma.alūm hotī hai

    nai duniya mujassam dilkashi malum hoti hai

    magar is husn mein dil ki kami malum hoti hai

    hijabon mein nasim-e-zindagi malum hoti hai

    kisi daman ki halki tharthari malum hoti hai

    meri raaton ki KHunki hai tere gesu-e-pur-KHam mein

    ye baDhti chhanw bhi kitni ghani malum hoti hai

    wo achchha tha jo beDa mauj ke rahm o karam par tha

    KHizar aae to kashti Dubti malum hoti hai

    ye dil ki tishnagi hai ya nazar ki pyas hai saqi

    har ek botal jo KHali hai bhari malum hoti hai

    dam-e-aKHir mudawa-e-dil-e-bimar kya mani

    mujhe chhoDo ki mujh ko nind si malum hoti hai

    diya KHamosh hai lekin kisi ka dil to jalta hai

    chale aao jahan tak raushni malum hoti hai

    nasim-e-zindagi ke soz se murjhai jati hai

    ye hasti phul ki ek pankhuDi malum hoti hai

    jidhar dekha 'nushur' ek aalam-e-digar nazar aaya

    musibat mein ye duniya ajnabi malum hoti hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    nai duniya mujassam dilkashi malum hoti hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now