nai duniya nae manzar nae afkar mile
na.ī duniyā na.e manzar na.e afkār mile
sab shajar naql-e-makānī ke samar-bār mile
bād-e-hijrat to hameñ le ke jahāñ aa.ī hai
un galī-kūchoñ meñ insānoñ ke shahkār mile
ḳhūbsūrat se kisī baar ke ik goshe meñ
dil kī tanhā.ī miTāne ko ka.ī yaar mile
kahīñ kho jaane kā dukh ek haqīqat hī sahī
apnī pahchān ke bhī nit-na.e āsār mile
kab talak sar pe virāsat kī ridā le ke chaleñ
kyoñ na ab ham ko koī sāya-e-dīvār mile
nai duniya nae manzar nae afkar mile
sab shajar naql-e-makani ke samar-bar mile
baad-e-hijrat to hamein le ke jahan aai hai
un gali-kuchon mein insanon ke shahkar mile
KHubsurat se kisi bar ke ek goshe mein
dil ki tanhai miTane ko kai yar mile
kahin kho jaane ka dukh ek haqiqat hi sahi
apni pahchan ke bhi nit-nae aasar mile
kab talak sar pe wirasat ki rida le ke chalen
kyon na ab hum ko koi saya-e-diwar mile
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 502)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.