Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nai faza mein rahe hum nae safar mein rahe

Shareef Munawwar

nai faza mein rahe hum nae safar mein rahe

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    Interesting Fact

    1977

    na.ī fazā meñ rahe ham na.e safar meñ rahe

    ye aur baat ki apne bāl-o-par meñ rahe

    havā thī apnī muḳhālif ki tīrgī thī harīf

    charāġh ban ke jale aur rahguzar meñ rahe

    mazāq-e-dar-ba-darī har qadam ke saath rahā

    safar meñ jab na rahe ḳhvāhish-e-safar meñ rahe

    muḳhālifat meñ kisī jo tere saath hue

    ye mat samajh ki tere halqa-e-asar meñ rahe

    tamāshā dekhne bhī log aa jaate haiñ

    saḌak pe ḳhalq-e-ḳhudā ho to kaun ghar meñ rahe

    nai faza mein rahe hum nae safar mein rahe

    ye aur baat ki apne hi baal-o-par mein rahe

    hawa thi apni muKHalif ki tirgi thi harif

    charagh ban ke jale aur rahguzar mein rahe

    mazaq-e-dar-ba-dari har qadam ke sath raha

    safar mein jab na rahe KHwahish-e-safar mein rahe

    muKHalifat mein kisi ki jo tere sath hue

    ye mat samajh ki tere halqa-e-asar mein rahe

    tamasha dekhne bhi log aa hi jate hain

    saDak pe KHalq-e-KHuda ho to kaun ghar mein rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now