nai hayat ka paigham de ke bhul gae
na.ī hayāt kā paiġhām de ke bhuul ga.e
tasalliyāñ dil-e-nākām de ke bhuul ga.e
bahut hasīn thā āġhāz-e-‘āshiqī lekin
hameñ vo hasrat-e-anjām de ke bhuul ga.e
mahaktī sub.h ke āsār le ke aa.e the
jo intizār kī ik shaam de ke bhuul ga.e
javāz jab na milā tark-e-dostī ke liye
mire ḳhulūs ko ilzām de ke bhuul ga.e
nigāh un kī dubāra nahīñ uThī 'razmī'
vo ik hasīn sā paiġhām de ke bhuul ga.e
nai hayat ka paigham de ke bhul gae
tasalliyan dil-e-nakaam de ke bhul gae
bahut hasin tha aaghaz-e-‘ashiqi lekin
hamein wo hasrat-e-anjam de ke bhul gae
mahakti subh ke aasar le ke aae the
jo intizar ki ek sham de ke bhul gae
jawaz jab na mila tark-e-dosti ke liye
mere KHulus ko ilzam de ke bhul gae
nigah un ki dubara nahin uThi 'razmi'
wo ek hasin sa paigham de ke bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.