nai hayat naya saz de raha hun main
na.ī hayāt nayā saaz de rahā huuñ maiñ
dil-e-shikasta ko āvāz de rahā huuñ maiñ
hai faḳhr ye ki mirī zindagī hai ijz-o-niyāz
ġhurūr ye ki tumheñ naaz de rahā huuñ maiñ
tirī hasīn jafāoñ se le ke dars-e-vafā
junūñ ko kuchh na.e andāz de rahā huuñ maiñ
ye kis maqām pe le aa.ī be-ḳhudī ki tumheñ
ḳhud apne naam se āvāz de rahā huuñ maiñ
kaTe hue jo par-o-bāl haiñ unheñ 'nashtar'
nazar se quvvat-e-parvāz de rahā huuñ maiñ
nai hayat naya saz de raha hun main
dil-e-shikasta ko aawaz de raha hun main
hai faKHr ye ki meri zindagi hai ijz-o-niyaz
ghurur ye ki tumhein naz de raha hun main
teri hasin jafaon se le ke dars-e-wafa
junun ko kuchh nae andaz de raha hun main
ye kis maqam pe le aai be-KHudi ki tumhein
KHud apne nam se aawaz de raha hun main
kaTe hue jo par-o-baal hain unhen 'nashtar'
nazar se quwwat-e-parwaz de raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.